qalam udas hai lafzon mein hashr barpa hai
hawa ruki hai to raqs-e-sharar bhi KHatm hua
junun-e-shauq junun-e-safar bhi KHatm hua
furaat-e-jaan
teri maujon mein ab rawani nahin
koi fasana nahin ab koi kahani nahin
simaT gae hain kinare wo be-karani nahin
to kya ye nabz ka chalna hi zindagani hai
nahin nahin ye koi zist ki nishani nahin
ki sans lena faqat koi zindagani nahin
kuchh aur rang mein aai hai ye KHizan ab ke
hai simTi simTi si KHud mein hi ghairat-e-nahid
miyan-e-ahl-e-tariqat bhi be-rida hai ghazal
hujum-e-ahl-e-zaban aur be-nawa hai ghazal
safar ye kaise kare KHarzar raston par
thakan sawar hai is par barahna-pa hai ghazal
tumhaara sath jo chhuTa to ab pareshan hai
ki is taghaful-e-be-ja pe saKHt hairan hai
ye kis maqam pe tum ne akela chhoD diya
tumhein KHabar hai ki tum se bahut KHafa hai ghazal
ye be-makani
ye tanhai aur ye dar-ba-dari
sata raha hai bahut ab KHayal-e-ham-safari
salib-o-dar-o-rasan se guzar rahi hai ghazal
chale bhi aao kahan ho ki mar rahi hai ghazal
siyah libas mein nauhe udas baiThe hain
saron ko thame qaside udas baiThe hain
hai marsiye ki nigahon mein abr Thahra hua
badan darida latife udas baiThe hain
ubhar rahi hai ye kaisi sada-e-wawaila
sirhane dekho rubai ka bain hota hai
wo dekho
nazm-e-gareban chaak karte hue
duhai deti hai maqtal ke istiaron ki
alamaton ki kinayon ki aur ishaaron ki
bahut malul hain shahr-e-suKHan ki tahriren
shab-e-alam ke hain qisse junun ki tafsiren
waraq waraq hai pareshan ghubar-e-KHatir ka
hua hai nasr ko ehsas phir yatimi ka
hawa-e-shahr-e-sitam kis ada se guzri hai
dahan KHamosh hain
chup chup se hain suKHan ke charagh
bujhi bujhi si hai qindil-e-KHanqah-e-adab
dhuan dhuan hain
KHitabat ke fikr-o-fan ke charagh
hai aasman adab pe wo dhund chhai hui
dikhai deta nahin ab koi sitara-e-nur
kalam ka wo qarina
wo guftugu ka shuur
kahan se ab koi laega sani-e-manzur
ajib waqt paDa hai fan-e-nizamat par
ki dam-ba-KHud se khaDe hain ab 'anwar'-o-'manzur'
waqar kaise ata ho shikasta lahjon ko
rafu kare koi kaise darida jumlon ko
hai muskurana zaruri waqar-e-gham ke liye
tarashe kaun zaban hurmate-qalam ke liye
tumhaare jaane se viran ho gai mahfil
ujaD gaya hai ye dekho jahan-e-shahr-e-adab
samajh mein kuchh nahin aata ki ab kahan jaen
bhaTakte phirte hain ab sakinan-e-shahr-e-adab
ye mai-kade ki udasi
ye jam ulTe hue
ki jaise roe hon shab-bhar ye saghar-o-mina
kai dinon se hansi hi nahin hai collage-girl
tumhaare hijr ne patthar bana diya hai use
bahut udas baDi be-qarar chup chup si
ki huzn-o-yas ka manzar bana diya hai use
wo dekho mez pe jitni kitaben rakkhi hain
tumhaari gard rifaqat hai sab ke chehre par
pukarti hain tumhein ye adhuri tahriren
bikharte TuTte KHwabon ki tishna tabiren
ye ujDa ujDa dabistan DhunDhta hai tumhein
chale bhi aao ki imkan DhunDhta hai tumhein
jo ho sake to chale aao tum malik-zada
magar ye KHwahish-e-beja
use KHabar hi nahin
ki jaane wale kabhi lauT kar nahin aate
mahakte rahte hain gul-dan un ki yaadon ke
sulagte rahte hain loban un ki yaadon ke
Nazm
Hawa ruki hai to raqs-e-sharar bhi KHatm hua
Tariq Qamar