hawa ko aawara kahne walo
kabhi to socho, kabhi to likkho
hawaen kyun apni manzilon se bhaTak gai hain
na un ki aankhon mein KHwab koi
na KHwab mein intizar koi
ab un ke sare safar mein subh-e-yaqin koi
na sham-e-sad-e'tibar koi
na un ki apni zamin koi na aasman par koi sitara
na koi mausam na koi KHushbu ka istiara
na raushni ki lakir koi, na un ka apna safir koi
jo un ke dukh par kitab likkhe
musafirat ka azab likhe
hawa ko aawara kahne walo
kabhi to socho!
Nazm
Hawa ko aawara kahne walo
Noshi Gilani