اردو हिंदी
Hawa ki pusht par | Shaahi Shayari
hawa ki pusht par

Nazm

Hawa ki pusht par

Hameed Almas

;

hua ki pusht pe kitne nuqush kanda hain
kahin nafas ki lakiren

kahin bisat-e-hunar
hayat o maut ke partaw

alam ki parchhain
lahu ke rang mein Duba hua falak ka dhuan

kabhi zamin ka daman ghubar-aluda
kabhi garajta hua sail-e-be-karan larzan

misal-e-harf-e-tamanna ye naqsh miT na sake
hawa ki pusht pe kab se nuqush kanda hain