wo ek be-jaan baadal hai
use uDna to aata hai
baras kar apni surat hu-ba-hu rakhna nahin aata
so jab is KHub-surat ke
badan ke lams ki KHatir
barasta hai
bhigota hai use taskin se labrez karta hai
to apni hi shabahat ka guman rakhe
yaqin ijz kar ke
is ke fani jism se ris kar
zamin ka rizq banta hai
to lagta hai
kisi an-honi saat ne
zamin ki tal par gir ke
baqa ka git chheDa ho

Nazm
Hawa ke kan mein kahna use bikhra ke aa jae
Salman Siddiqui