wo Dher kanch ka tha
kisi ne rakh samajh kar jise TaTola tha
ajib rang the raqsan nigah ke aage
hatheli risne lagi to guman sa guzra
kahin ye KHun ke chhinTon ki surKHiyan to nahin
magar wo dard kahan hai jo sukh nigalta hai
jo jism-o-jaan mein utra hai ab thakan ban kar
kahin se aah-o-buka ki sadaen aati hain
ye nim andhera baDa karbnak lagta hai
bujhe hue wo sharare hain ya koi aahu
palaT ke dekh to le
rakh ranj kanch
kahin chubh na jaen aankhon mein
ye waqt jis ke palaTne ki aarzu le kar
hawa ke dosh pe aahen uDae jata hai
Nazm
Hawa ke dosh pe
Maimoona Abbas Khan