hawa kahti rahi aao
chalo us shaKH ko chhu len
idhar us peD ke patton mein chhup kar taliyan piTen
giren uThen luDhak kar nahr mein utren nahaen
maKHmalin sabze ye nange panw chal kar dur tak jaen
hawa kahti rahi aao
magar main KHushk chhagal apne danton mein dabae
pyas ki barham sipah se laD raha tha main kahan jata
mujhe suraj ke rath se aatishin tiron ka aana
aur chhagal se humak kar aab ka girna
kisi bachche ka rona aur pani mangna bhula nahin tha main kahan jata
main apne hath ki ubhri ragon mein qaid
apni aankh ki tapti hui KHak-e-siyah mein jazb tha yaksar
mujhe ek jura-e-ab safa darkar tha aur mere bachche ne
sada di thi mujhe aao KHudara ab to aa jao
ki mere honT ab phaT bhi chuke
aankhon ka amrit sukh kar baadal bana uD bhi gaya
hawa kahti rahi aao
ye bandhan toD do pyare
magar mein hath ki ubhri ragon mein qaid
apni aankh ki tapti hui KHak-e-siyah mein jazb kya karta
kahan jata
Nazm
Hawa kahti rahi aao
Wazir Agha