hawa meri baat nahin samajhti
hawa tumhaari baat nahin samajhti
hawa hum donon se hamari baat nahin karti
hamare lafz us ki samaat se
phisal jate hain
wo be-mani aankhon se hamein dekhti rahti hai
main un ka haal kaise jaanun
unhen apna haal kaise bataun
jin ke ghar viran hain
jin ki subhen rang se KHali
aur raaten chandni se mahrum hain
jin ki khiDkiyon par bhaari parde paDe hain
aur darwazon par tale
lekin hawa ye baaten nahin samajhti
wo to KHali hath aati jati hai
aur KHali hath aane
aur KHali hath jaane walon se
hamein kya lena
Nazm
Hawa hamare kis kaam ki
Javed Shaheen