aaghosh-e-ehtiyat mein rakh lun jigar kahin
Darta hun le uDe na kisi ki nazar kahin
ghurbat mein ajnabi ka bhi hota hai ghar kahin
din-bhar kahin guzar diya raat-bhar kahin
aghyar hun kahin but-e-shorida-sar kahin
sab kuchh ho aah mein to ho apni asar kahin
yun uf na bagh-e-dahr mein barbaad ho koi
bulbul ka aashiyan hai kahin baal-o-par kahin
main aaj apni aah ka karta hun imtihan
hun aasman zamin na zer-o-zabar kahin
qaid-e-qafas mein hasrat-e-parwaz kyun rahe
sayyaad jo uDa de na hai baal-o-par kahin
rahti hai un ki yaad meri dil mein har ghaDi
'auj' un ke dil mein kash ho mera bhi ghar kahin
Nazm
Hasrat-e-parwaz
Raj Bahadur Saxena Auj