kal ek tu hogi aur ek main
koi raqib-e-rafiq-surat
koi rafiq-e-raqib-saman
mere tere darmiyan na hoga
hamari umr-e-rawan ki shabnam
teri siyah kakulon ki raaton
mein tar chandi ke gundh degi
tere hasin aarizon ke rangin
gulab bele ke phul honge
shafaq ka har rang gharq hoga
latif o pur-kaif chandni mein
teri kitab-e-ruKH-e-jawan par
ki jo ghazal ki kitab hai ab
zamana likkhega ek kahani
aur an-ginat jhurriyon ke andar
meri mohabbat ke sare bose
hazar lab ban ke hans paDenge
hum apni biti hui shabon ki
saloni parchhaiyon ko le kar
hum apne ahd-e-tarab ki sham o
sahar ki ranaiyon ko le kar
purani yaadon ke jism-e-uryan
ke waste pairahan bunenge
phir ek tu hogi aur ek main
koi raqib-e-rafiq-surat
ko rafiq-e-raqib-saman
mere tere darmiyan na hoga
hawas ki nazron ko tere ruKH par
jamal-e-nau ka guman na hoga
faqat meri husn-e-azmuda
nazar ye tujh ko bata sakegi
ki teri piri ka husn tere
shabab se bhi hasin-tar hai
Nazm
Hasin-tar
Ali Sardar Jafri