hasin duniya ujaD gai to agar kahin ye bigaD gai to
guman se aage nikal gai to guman se aage guman kar lo
uThao parda aur dekh lo KHud zamin-faroshi ke rup kitne
naqab-poshon ki bhiD mein sab hamare kal ke ye saudagar hain
un hi ki hirs-o-hawas ke bais hamari duniya ujaD rahi hai
garm hawaon mein ghir rahi hai
badalte mausam ka istiara zamin ko taraj kar raha hai
pahaD-o-dariya nigalne wale shajar-faroshi mein lag gae hain
wo KHushnuma git gate panchhi ab apne raste badal rahe hain
shikari aankhon se bach rahe hain
ye dariya garmi se jal rahe hain pahaD karwaT badal rahe hain
zamin ka zewar utar raha hai aur jangalon mein ghadar macha hai
sulagte sahra basane walo nirali duniya sajaane walo
samundaron par shahr banao falak pe tum kahkashan sajao jahan-e-nau KHub-tar basao
magar zamin ko na bhul jaana luTa rahi hai jo aab-o-dana
hasin duniya ujaD gai to agar kahin ye bigaD gai to guman se aage nikal gai to
na tum rahoge na hum rahenge na mausamon ke ye rang rahenge
Nazm
Hasin duniya ujaD gai to
Rehan Alvi