raat daDhi ke andhere se takalluf barte
arsh ke samne ruswai ki gardan na uThe
izn-e-sajda pe kamar taKHta na ho jae kahin
khokhle lafzon mein loha to nahin bhar sakte
saikaDon sal ki tabligh ke chaalis samar
kashti ban jae to tannur se pani uble
salha-sal se aaram natija matlub
tin-sau-saTh sanam KHana-e-kaba se chale
reg-zaron mein ghubar aur khajuri sae
unT ki aankh mein tashhir hua dard-e-safar
koi 'hinda' se kahe dant kahan hain tere
fath-e-makka se magar log hidayat paen
KHun jam jae jo nalain mein chalte chalte
arsh ki aankh se rahmat ka samundar uble
jibrail apni haiat mein hain numaish-manzar
panw patal mein sar charKH se Takrae kahin
par jo khole to har ek samt pe parde laTken
aur jalta hua suraj abhi kho jae kahin
qafila aaya hai 'bu-bakr' se mansub magar
mal taqsim hua daman-e-hajat-mandan
nur kandhe pe uThae shab-e-hijrat ke safir
ghaar mein sath rahe pas hi paiwand hue
masjid-e-nabwi mein ambar-e-ghanimat raushan
log rote hue nikle hain pareshan-manzar
raushni pahunchi 'abu-jahl' ki diwaron tak
ghar ki tariki mein rasta na bane binai
peD ke sae ki pahchan yahudi rahib
ruk gaya aab-e-rawan bewa ke darwaze par
dast-e-zohra mein nishanat ayan chakki se
ilm ke bab 'ali' umr mein sab se chhoTe
chand ka nam tere chaak-garebanon mein
mubtadi DhunDte hain masjid-e-aqsa mein imam
sidrat-ul-muntaha jibril ijazat mange
kaun tha kis ne pukara ki chale bhi aao
kaun maujud tha pahle se wahan kaun gaya
kaun sunta tha wahan kis ne pukara kis ko
kis ki aawaz ki tanwir se aalim chamke
sar-bulandi thi muqaddar mein qalam se pahle
bakriyan kaun 'halima' ki charane jae
'amina' batn se izhaar hai aadam ka uruj
mujtama kis ne kiya logon ko parbat ke qarib
kis ne lalkara zalalat ko musalsal tanha
jau ki roTi kabhi mil jae kabhi faqa-kashi
bhuk se peT pe patthar kabhi bandhe kis ne
tin-sau-terah ki tadad hai kis ginti mein
fikr pe daera-kun KHandaqen khodi jaen
dur ki dhup mein hai faisla-kun rah-e-tabuk
'hanzala' samne aa jaen jo chhaT jae ghubar
main ne pahuncha diya tum tak jo mujhe pahuncha tha
main ne pahuncha diya tum tak jo mujhe pahuncha tha
main ne pahuncha diya tum tak jo mujhe pahuncha tha
koi pardesi hai KHeme pe pareshan-surat
aur 'faruq' chale biwi ko ham-rah liye
fasle toD kar aawaz ke sae phaile
hakim-e-waqt ka kurta kai paiwand laga
bakriyan jis se sambhaali nahin jatin thin kabhi
nisf duniya pe KHilafat ke alam lahrae
yaad hai sahibo KHaibar ko ukhaDa kis ne
kis ki talwar thi aaina zamane ke liye
kis ne zarKHez shujaat ke sitare boe
jaan di jawedan lamhat tilawat mashghul
KHun ke dhabbe hain quran pe tabinda nazar
kaun rota tha musalle pe hamari KHatir
pair warma gae kis ke shab-e-sajda-o-qiyam
do mahinon mein makanon se dhuan tak na uThe
fikr-e-ummat ki har ek lamha lahu mein karwaT
jism raushan tha chaTai ke nishan bhi raushan
galiyan khate phiren makka ke bazaron mein
aur tanha kabhi taef se nikale jaen
marhaba shukr ka Thahrao bahishti zewar
marhaba sabr ka irfan ki meraj-e-hayat
nur majsum hua gumbad-e-KHazra markuz
hashr ki subh daraKHshan ho maqam-e-mahmud
hath raushan rahe kausar se qarabat manzar
KHun ab sard hua jata hai shiryanon mein
aur baDhti hui tadad bharosa toDe
nafs dauData hai phir jaanib-e-shahwat ghoDe
lazzat-e-shai mein hain madum charaghon ki lawen
raushni apne paDosi ko bhi pahuncha na sake
ruh ab shoalagi mange hai har ek zarre se
koi ilyas ki baaton pe zara kan dhare
koi yusuf se shahadat ke maani puchhe
koi taqsim kare waqt ko masjid masjid
koi baiat to kare dast-e-zakariya hazir
markaz-e-ishq pe pahuncho to ho inam-e-nazar
ek ek lamha ke chehre se ayan izn-e-safar
gumrahi qilon mein mahfuz rahegi kab tak
sar uThaegi hawa baadban khul jaenge
band darwazon pe dastak ki sada gunjegi
dhup dahliz pe pahunchaegi mehmanon ko
saeban sar pe ababil liye sath chale
talKH tahzib ke sahra mein azan lahrae
gunj uTThega haram nara-e-labbaik, zamin
tere qadmon mein ugal degi KHazane apne
teri taqlid mein maghrib ki baqa poshida
teri tazlil mein jo hath uThe kaT jae
teri nusrat ke liye aasman koshish maqsud
silsile tere banen zeb-e-jahan-e-fani
nur majsum hua gumbad-e-KHazra markuz
hashr ki subh daraKHshan ho maqam-e-mahmud
Nazm
Hashr ki subh daraKHshan ho maqam-e-mahmud
Adil Mansuri