اردو हिंदी
Hasb-e-farmaish | Shaahi Shayari
hasb-e-farmaish

Nazm

Hasb-e-farmaish

Habib Jalib

;

main tujhe phul kahun aur kahun bhanwaron se
aao us phul ka ras chus ke nacho-jhumo

main tujhe shama kahun aur kahun parwano
aao us shama ke honTon ko KHushi se chumo

main teri aankh ko tashbih dun maiKHane se
aur KHud zahr-e-judai ka talabgar rahun

ghair soe teri zulfon ki ghani chhanw mein
aur main chandni raaton main faqat sher kahun

mujh se ye tere qaside na likhe jaenge
mujh se tere liye ye ghazlen na kahi jaengi

yaad mein teri main sulga na sakunga aankhen
saKHtiyan dard ki mujh se na sahi jaengi

shahr mein aise musawwir hain jo sikkon ke ewaz
husn mein laila-o-azra se baDha denge tujhe

tul de kar teri zulfon ko shab-e-gham ki tarah
fan ke eajaz se nagin si bana denge tujhe

tujh ko shahr ki zarurat hai mohabbat ki mujhe
ai hasina teri manzil meri manzil mein nahin

nach ghar teri nigahon mein hain raqsan lekin
is tayyush ki tamannaen mere dil mein nahin

dekh ke ghair ke pahlu mein tujhe raqs-kunan
bhig jati hai meri aankh sarishk-e-gham se

mujh ko barson ki ghulami ka KHayal aata hai
jis ne andaz-e-wafa chhin liya hai hum se

mujh ko bhanwra na samajh mujh ko patanga na samajh
mujh ko insan samajh meri sadaqat se na khel

teri tafrih ka saman na banunga hargiz
meri duniya hai yahi meri mohabbat se na khel