wo harf-e-aKHir kahan gaya hai
wo harf jis ki tahon mein apni
mohabbaton ki jo ek kahani chhipi hui thi
wo ek kahani ki jis ki rau se hi umr bhar ka
qarar pate bahaar pate
mohabbaton mein surur dil ka suragh pate
wo harf-e-aKHir kahan gaya hai
wo harf jo ek shajar ki surat
hamare gulshan-numa makan mein
bahut aziyyat bhari faza mein
KHizan ke mausam ke daeron se
guzar ke fasl-e-bahaar lata
wo harf aaKHir kahan gaya hai
wo harf hi to hamare sar par
jo ek saya-numa shajar tha
ki jis ke sae mein rah ke hum sab
dukhon ke sare
azab ke din
KHushi KHushi hi guzar lete
wo harf-e-aKHir
bichhaD ke hum se
kahan gaya hai
ye sara qissa
bayan kar ke
jo aaj hum ne kisi se puchha
wo ghaur kar ke
alamaton ko samajh ke sanjidgi se bola
'azim' wo harf mar chuka hai
Nazm
Harf
Tahir Azeem