wadi wadi sahra sahra phirta raha main diwana
koh mila
to dariya ban kar us ka sina chir ke guzra
sahraon ki tund hawaon mein lala ban kar jalta raha
dharti ki aaghosh mili
to pauda ban kar phuTa
jab aakash se nazren milin
to tair ban ke uDa
ghaaron ke andhiyaron mein main chand bana
aur aakash pe suraj ban kar chamka
phir bhi main diwana raha
apne sapnon KHwabon ki ulTi sidhi taswir banai
TeDhi meDhi lakiren khinchin
lekin jab ek harf mila
goya nur ki kirnen mere do honTon mein simaT aai hain
main ye charagh-e-ala-din le kar
ghaaron ke andhiyaron mein khoe hue moti DhunD raha hun
Nazm
Harf
Ejaz Farooqi