mere ahbab mein ek shaer-e-kam-nam bhi hai
zehn hai jis ka ajab rahat-gah
hadse ek zamane ke jahan aa ke sukun pate hain
jab chamak uThte hain kuchh hadse izhaar ki peshani par
wo simaTta sa chala jata hai
yani har nazm use aur bhi begana bana deti hai
shab nai nazm liye baiTha tha ahbab ke bich
aur sab hama-tan-gosh use sunte the
nazm ke baad wo aalam tha ki sannaTa na karwaT le pae
(note:ghair-pasandidagi ki wajh se)
is ne yun dekha nahin dad-talab nazron se
jaise is aas mein ho
gul ke girne ki sada farsh se aaegi abhi
Nazm
Harf-e-ghair
Rajinder Manchanda Bani