har sal in subhon ke safar mein ek din aisa bhi aata hai
jab pal bhar ko zara sarak jate hain meri khiDki ke aage se ghumte ghumte
sat karoD kurre aur suraj ke pile phulon wali phulwaDi se ek patti uD kar
mere mez par aa girti hai
in jumba jahton mein sakin
tab itne mein sat karoD kurre phir patalon se ubhar kar aur khiDki ke samne aa kar
dhup ki is chaukor si TukDi ko gahna dete hain
aane wale baras tak
is kamre tak wapas aane mein mujh ko ek din us ko ek baras lagta hai
aaj bhi ek aisa hi din hai
abhi abhi ek aaDi tirchhi raushan siDhi sad-ha zawiyon ki pal bhar ko jhuk aai thi
us khiDki tak
ek larazti hui maujudgi is siDhi se abhi abhi is kamre mein utri thi
baras baras hone ke partaw ki ye ek parat is mez par dam bhar yun Dhalti hai
jaane bahar is honi ke hast mein kya kya kuchh hai
aaj ye apne panw to patalon mein gaDe hue hain
Nazm
Har sal in subhon
Majeed Amjad