har jaanib hain dilon zamiron mein kale tufanon wale lafz hazaron ghani bhawon ke niche
ghat mein
ab to mere labon tak aa bhi harf-e-zinda
har jaanib galiyon ke daldali talabon mein be-satar hirasan khaDi hain ruhen
qadam khube hain nile kichaD mein aur un ki Dubti nazron mein ek bar zara teri thi un ki zindagi
abhi abhi ek pal ko
aur ab phir kale tufan wale lafz un ke liye jaane kya kya sandese lae hain
un ko zinda rakhiyo harf-e-zinda
muddaton se be-yaad hai tu mere nisyanon mein ai harf zinda
ab tu mere labon par aa bhi
ab jab mere dekhte dekhte kale tufan wale lafzon ka aabi farsh
ek
bichh bichh gaya hai dur ufuq ke pichhe kahin in paniyon tak jin par ek naKHuda paighambar ki duaon
ke bajre taire the
mere nisyanon mein jahanda harf-e-zinda
tere manon mein mawwaj hain wo sab ilm jo ruhon ko khate hain us ek ghaT ki samt
jahan ummid aur KHauf ke DanDe mil jate hain
ab to sari duniya mein se jis ek shaKHs ko Dubna hai wo main hun
ab to sari duniya mein wo shaKHs jo tair ke bach niklega main hun
Nazm
Har jaanib hain
Majeed Amjad