shahr ki ek ek saDak
phankti aai hai lakhon hadson ki sard dhul
jaane kitne ajnabi ek dusre ke dost banne se kinara kar gae
aur kitne aashnaon ke dilon se miT gai pahchan bhi
sau nigahen lakh zaKHm
chaar-samti lakh jhuT
sau tamashon ke paDe hain ja-ba-ja dhabbe
jinhen
gard-e-masafat mein chhupane ke liye
barq-pa lamhon ko thame dauDte jate hain hum
lamhe do lamhe ko dam lene ki KHatir sust ho jaen agar
shahr ki ek ek saDak
aankhon se KHun rulwaegi
aur bana kar hum ko bhi ek dastan
dohrae gi
hanpti tahzib ke ek ek musafir se kahegi
dauDte jao yahi hai zindagi
mat ruko ek dusre ke waste
bhagta hai waqt
lekin lamha lamha
dauDna hai sab ko
lekin tanha tanha
Nazm
Har jada-e-shahr
Rajinder Manchanda Bani