har aaina ek aks-e-nau DhunDta hai
samundar ki lahren hon ya dasht ki an-ginat pattiyan
sab yahi sochti hain
ki koi nai ruh in mein sama jae
uDte hue abr-pare musalsal
tulu-e-sahar se numud-e-shafaq tak
koi samt-e-nau DhunDte hain
ufuq ta ufuq chandni
raat ke daman-e-be-karan mein
nai saaton ke nishan DhunDhti hai
talash-e-musalsal ki bahti hui rau mein ek kah bhi hai
jo sadiyon se is aas mein bah raha hai
ki shayad koi quwwat-e-kahrubai
kisi samt se na-gahan aa ke
aaghosh mein jazb kar le
magar aarzu ki rasai se bahar
abhi an-ginat marhale rah mein hain
abhi justuju awwalin manzilon ki haden
par karti chali ja rahi hai
abhi soch ki ibtida-e-safar hai!
Nazm
Har aaina ek aks-e-nau DhunDta hai
Aziz Tamannai