na tu haqiqat hai aur na main
aur na teri meri wafa ke qisse
na barkha-rut ki siyah raaton mein
rasta bhul kar bhaTakti hui sajal nariyon ke jhurmuT
na ujDe nagron mein KHak uDate
fasurda-dil paremiyon ke nauhe
agar haqiqat hai kuchh to ye ek hawa ka jhonka
jo ibtida se safar mein hai
aur jo intiha tak safar karega
Nazm
Haqiqat
Muneer Niyazi