kabhi in chiDiyon se bhi puchhna hai
tumhaara ghar kahan hai
ye ghar hai kya ye ghar hai kab
hua karta hai kis ka ye
retire ho chuka hun main
jo kahte hain wo college tha
ghalat hain wo
hai kab pahchan rishton ki
hai kab pahchan jaghon ki
wo mera ghar tha meri jaan
wahi har rose ka jaana
qataren kamron ki hotin
baDe kuchh aur kuchh chhoTe
magar wo sare apne the
main sang bachchon ke rahta tha
bahut kuchh sikhta un se
kabhi un ko sikhata bhi
wo mera ghar tha mera haq tha us par
ziyaada gar nahin to kam bhi kab tha
abhi bhi sare kamre hain
abhi bhi sare bachche hain
magar wo haq nahin hai
wo bas ab ghar nahin hai
kahan jaun main unmen ab
qataron mein hain kamre jaise the wo
classon mein hain bachche jaise the wo
hun main bas ghar se bahar
sunai degi gar jaunga KHud aawaz apni
wahan bachche nahin honge han bas aawazen lauTengi
main Dar jaunga wapas aaunga wo ghar nahin hai
wahan ab mera koi haq nahin hai
baras bite hain tab ye jaan paya dard kya hai
hamari beTiyan kyun yun taDapti hain
jab un ki Doli uThti hai
unhen mahsus ho ye ab nahin ghar
nahin hai haq koi in ka ab us par
ye haq hai asl jo hai ghar ka malik
agar haq hai to phir ghar hai
nahin hai to paTaKH lo panw kitne
nahin wo ghar tumhaara ab
wo college ho ya maika!
kahawat hai makin se hi makan hai
ghalat main kyun kahun hoga
magar mere liye aisa nahin hai
hamesha se makan se hi makin jaana
hon ye haalat apne KHud
ya phir hon beTiyon ke wo
yahi kaDwa wo sach hai jo nigalna hai
mujhe bhi beTiyon ko bhi
mujhe apni hi kaDwahaT se hai
do chaar hona ab
sadi biti hai aadhi jab
chhina hai ek ghar mera
milega dusra ab kab
ikaTTha hi mile shayad
dobara phir retire hun
dobara ghar ka ho afsos
ya phir ghar na hone ka
Nazm
Haq aur ghar
Ozair Rahman