shahr-e-dil ke KHamosh gali-kuchon mein
dukhon ke qafile aa kar Thahre hain
hadd-e-nazar udasi ki dhup phaili hai
wafa ke Thukrae
sitam-parwar chehron ki bhiD mein
mohabbat ki dar-badari ka faisla hua hai
nafraton mein Dube kuchh chehre mil ke
ek KHush-rang manzar ko
viraniyon ke dasht mein dafn karte hain
safed parindon ki aaankhon mein
ashkon ka samundar unDel kar
unhen tanhaiyon ke zindan mein qaid karte hain
aur sitam-gazida lamhon ki baqa ki KHatir
sitamgari ke nae silsilon ka ahd karte hain
Nazm
Hanut chehre
Muneer Ahmad Firdaus