laDke hanste hain
aur chal paDte hain
Toliyon ki shakl mein
unhen apne ghar ki taraf aata dekh kar
na-baaligh laDkiyan rone lagti hain
unhen rota dekh kar
laDkon par kuchh asar nahin hota
wo hanste hue chalte rahte hain
apne hathon mein
pistaulon ko ghumate hue
apni banduqon ki nokon se
dukanon ke shuter bajate
apne apne hathiyar lahraate
wo baDe faKHr se
hanste rahte hain
wo jahan se guzarte hain
logon ke chehre
KHauf aur dahshat se
ghair mamuli had tak phail jate hain
wo jahan Thaharte hain
maut un ke sath
thoDi der ke liye wahin Thahar jati hai
maut ko itna qarib dekh kar bhi
un ki hansi band nahin hoti
un ke qadam nahin laDkhaDate
wo hanste hi rahte hain
har samt mein be-shumar
goliyan chalate
har diwar har darwaze par
bahut se suraKH karte
siyah saDak par insani KHun se
surKH nishan Dalte
apne pichhe tar-o-taza phulon se bhari
qabron ki jannat
apne pichhe
la-tadad aansuon se bhara
shaffaf dariya chhoDte
hanste hue
wo guzar jate hain
kabhi un mein se ek aadh laDka
apne kisi sathi ki ghalati
ya muKHalif samt se aane wali goliyon ki wajh se
rukta hai
aur hanste hue
ek kar ke pichhe chhupne ki koshish mein
zamin par gir jata hai
hamesha ke liye
har taraf KHamoshi ho jaane par
baqi laDke
is ke ThanDe be-jaan jism ke chaaron taraf
jama ho jate hain
wo dekhte hain
laDke ke chehre par
maut ki hansi
ab tak maujud hai

Nazm
Hansi
Zeeshan Sahil