duniya kis ki ungliyon par gardish kar rahi hai
hum nahin jaante
hum bas ye jaante hain
hamara waqt tumhaari ungliyon ki jumbish ka paband hai
hum ne jab giroh banae
surKH
nila
pila
sabz
naranji
kasni
safed
hamein tum ne in mein se kisi giroh mein nahin rakha
dar-asl tum ne hamein jaana hi nahin
hum tumhaari zamin se bahar the
ek gahri siyahi mein
apni siyahi mein
hum is koshish mein rahe
ki tumhaari ghumti hui zamin ki kashish mein daKHil ho jaen
jab hum aisa karne mein kaamyab ho gae
tab hamein pata chala
ki ye sab tumhaari ungliyon ki jumbish ka kamal hai
aur aaj jab hum
na chahte hue bhi
tumhaare safed markaz ki samt baDhe chale ja rahe hain
to hamein apni siyahi
aur is mein rah jaane wale log
buri tarah yaad kyun aa rahe hain!
Nazm
Hamein wo kyun yaad aa rahe hain
Tanveer Anjum