wo dard-e-arzu
jo larza-bar-andam tha pahnae aalam mein
wo harf-e-tishnagi
jo naghma-bar-lab tha dabistan-e-shab-e-gham mein
wo ek duniya-e-na-paida-karaan thi
aasman ki wusaten jis mein samai thin
baDe gahre samundar maujzan the kurra-e-dil mein
jinhen ek justaju-e-KHam ne KHamosh kar Dala
bahut munh zor maujen thin
jinhen KHud hum ne paband-e-salasil kar diya ek din
faraaz-e-koh se aate hue betab dariya the
jinhen ek daere mein raqs karna hum ne sikhlaya
taqaze hosh-mandi ke hamare rahbar nikle
faraaze-e-arzu se hum
nasheb-e-afiyat mein aan nikle
aur maal-e-roz-o-shab ke besh o kam mein gum hue
apni matta-e-KHud-nigahi chhoD aae
ek sukut-e-ahni hamrah le aae
mudawa-e-alam koi nahin
bazm-e-nashat o dard-e-gham koi nahin
ek hu ka aalam hai
khaDe hain sahil-e-hasti pe hum
jine ke be-payan bahane chhoD aae
ek sukut-e-ahni hamrah le aae
hamari yaad ke kashkol KHali hain
hamari ruh ka naghma kahan hai?
Nazm
Hamari ruh ka naghma kahan hai?
Sajida Zaidi