ek KHwab se jab tum dusre KHwab mein qadam rakho
to ye KHayal rahe
ek zamin tumhaare andar bhi apne liye zamin bana chuki hai
jis par hazaron
nannhi nannhi duaon ki baaliyan phuTengi
tum un duaon ki zaban samajhna
un lafzon ko sunna
jinhen tum ne
safar ke guzishta marhale mein idhar udhar ghuma diya tha
ye duniya
mahz ek fasle ka nam hai
aur
tumhaare panw bahut chhoTe hain
zara muD kar dekho
tum apne KHuda ko kahan chhoD aai ho
tumhaari namazon ka nur kahan rah gaya hai
dekho
hamare ma-bain
ek daldal hai
aur is daldal mein
ek chand phansa hua hai
jo tumhaare qadam nap raha hai
Nazm
Hamare ma-bain
Atiiqullah