bad-dua hai
hamare liye subh ke honT par bad-dua hai
gharon mein utarti azanon mein
hukm-e-saza hai
suno bad-dua hai
hamare liye subh ke honT par bad-dua hai
suno hum ne shab bhar
use yaad rakkha
andhere ki diwar ke sard sine se lag kar
use apne dil ke ufuq se sada di
kabhi apni sanson ke dukh mein pukara
dilason ki dahliz par
TuTe KHwabon ki dhajjiyan
raat bhar jagne ka sila hai
suno bad-dua hai
hamare liye subh ke honT par bad-dua hai
suno shahr walo
kahan hai hamare lahu ki bashaarat
hamare pur-asrar KHwabon ka mausam
jise hum ne bachchon ki palkon se sincha
jise maon ki iltijaon se manga
hamara muqaddar
hawaon mein uDta hua
maut ka zaiqa hai
suno ba-dua hai

Nazm
Hamare liye subh ke honT par bad-dua hai
Sarmad Sahbai