اردو हिंदी
Hamare kamre mein pattiyon ki mahak ne | Shaahi Shayari
hamare kamre mein pattiyon ki mahak ne

Nazm

Hamare kamre mein pattiyon ki mahak ne

Fariha Naqvi

;

cigarette ke raqs karte dhuen se mil kar,
ajib mahaul kar diya hai

aur is pe ab ye ghaDi ki Tik-Tik ne,
dil udasi se bhar diya hai

kisi zamane mein hum ne,
'nasir', 'faraaz', 'mohsin', 'jamal', 'sarwat' ke sher apni chahakti diwar par likhe the

ab is mein silan kyun aa gai hai?
hamara bistar ki jis mein koi shikan nahin hai, usi pe kab se,

(wo daen jaanib, main baen jaanib)
na jaane kab se daraaz hain ham!!!

main us se shayad KHafa nahin hun,
use bhi koi gila nahin hai

magar hamari KHamida pushten jo pichhli kitni hi saaton se
bas ek duje ko tak rahi hain

wo thak gai hai