sachche KHwab aur jhuTi aankhen
andhe raston ki hamrahi
anjaan tahayyur ka pani
aur istifhami lahjon ki
do-dhaari talwaren
teri qurb-sarae se
ye zad-e-safar sath liya hai
ruKHsat ke ruKHsaron par
aansu ban kar girte
lamhe ke hathon mein
apne hone ka aaina de
main us kanch badan se
be-nam andeshon ka
zangar khurach Dalun
aur ujle pani mein dekh sakun
Hijr-nagar ke tapte suraj ke niche
umr safar ka sahra kitne kos paDa hai
Nazm
Hum zat se hum kalami aur firaq
Saeed Ahmad