shaiKH-zaman-shadani
aao
KHwab dekhte hain
yaad nagar mein sae phirte hain
tanhai siskari bharti hai
apni duniya tariki mein Dub chali
bahar chal kar mahtab dekhte hain
shaiKH-zaman-shadani
aao
KHwab dekhte hain
hum se pahle kaun kaun se log hue
jo sahil par khaDe rahe
jin ki nazren pani se Takra Takra kar
TuT TuT kar bikhar gai hain
bikhar gai hain aur pani ka sabza hain
is sabze ke pichhe kya hai
aaj aqab mein
chhupe hue gardab dekhte hain
shaiKH zaman shadani
aao
KHwab dekhte hain
Nazm
Ham-zad
Saqi Faruqi