main aaj daftar mein subh pahuncha
to ek naya zard zard chehra nazar paDa
jis ko dekhte hi
man mere dil mein ek daricha khula
aur us ke aqab se
us zard shakl ki ham-shabih
ek surKH shakl ubhri
sharir gustaKH be-takalluf
ubhar ke mere qarib aai
qarib aa kar
nazar mila kar
wo khilkhila kar hansi
aur apne sharir poron se
mere collar ki saKHtiyan paemal kar din
safed baalon ke pech-o-KHam mein
siyahiyon ki lakir khinchi
nigah se sab KHushunaten
aur jabin se sab silwaTen miTa din
mujhe dariche se le ke nikli
tawil rahon pe
sabza-zaron mein
lahlahate hasin kheton mein
chand taron mein phir rahi thi
ki jab achanak
daricha-e-dil ke band hone se waqt ke pul-siraat ki tez Dor TuTi
wahi safedi ke pech-o-KHam the
wahi safedi ke pech-o-KHam ke tale jabin par shikan
nigah mein KHushunaten
ru-ba-ru wahi zard zard chehra
jo kanpti ungliyon se file ko mez par rakh ke haT raha tha
Nazm
Ham-zad
Khursheed Rizvi