kuchh kiya jae na socha jae
muD ke dekhun to na dekha jae
meri tanhai ki wahshat se hirasan ho kar
mera saya mere qadmon mein simaT aaya hai
kaun hai phir jo mere sath chala aata hai
mera saya to nahin!!
kis ki aahaT ka guman
yun mere panw ki zanjir bana jata hai
dur ta-hadd-e-nazar shahr ke aasar nahin
aur dushman ki tarah
sham talwar liye sar pe chali aati hai
bolta hun to aachanak koi
meri aawaz mein aawaz mila deta hai
mujh ko KHud mere hi lafzon se Dara deta hai
kaun hai jis ne mere qalb ki dhaDkan dhaDkan
apne ehsas ki suli pe chaDha rakkhi hai
meri raftar ke pur-KHauf-o-KHatar raste mein
kis ne aawaz ki diwar bana rakkhi hai
sang-e-awaz ki diwar giraun kaise
kuchh kiya jae na socha jae
muD ke dekhun to na dekha jae
Nazm
Ham-zad
Amjad Islam Amjad