barq-pa lamhon ki ek zanjir mein jakDa hua
wo shikasta-pa unhi raston se guzra
aur nadida KHudaon ka hujum
KHanda-zan aankhon se us ki na-rasai ka tamasha dekh
kar kahta raha
tu ne chaha tha magar tere muqaddar mein na tha
jaise us ki bebasi mein wo kabhi shamil na the
wo kahan gum ho gaya
koi naqsh-e-pa nahin jis ki zaban
ek harf-e-na-shunida hi kahe
aur main din-raat ke sahra mein
us ko DhunDh kar pane ki koi aarzu le chalun
raston par koi naqsh-e-pa nahin
koi nishan baqi nahin
naqsh gar lamhon ki har tahrir
dast-e-be-nishan ke lams qatil ka fasana ban gai
shahr ke logon
tumhaare rauzan-e-chaak-e-jigar bhi band hain
tum mein har ek ne kisi KHisht-e-tamanna
sang-e-nafrat se
ye chashm-e-rauzan-e-dil band kar ke
aaKHiri ummid ka suraj bujha kar rakh diya
aur ab lazzat ki duniya mein gum
sud-o-sauda ki asiri par
raza-mand ka tauq-e-be-nishan pahne hue
KHush ho ki jannat mil gai
main akela
tang rahon sang-dil saDkon pe
us ko DhunDne kaise chalun
koi naqsh-e-pa nahin milta mujhe
aur sara shahr ye goya daraKHton ka bhara jangal
faqat shor-e-abas ka silsila hai
koi harf-e-na-shunida se nahin waqif yahan
lahza lahz tira-tar hoti hui ye sham bhi
raat ke qulzum mein gir kar be-nishan ho jaegi
aur ek mauj-e-fana is raat se tarik-tar
is bhare jangal chamakte shahr par chha jaegi
ek main hun rahat KHwab-e-shabina
meri qismat mein nahin
dopahar ki dhup
shab ki tirgi
mera muqaddar ban gai
raat ko phir
sai-e-la-hasil ka zaKHm la-dawa
un siyah-raston pe us ki justuju karne mujhe le aaega
unghi saDkon pe apni chap sun kar
phir mere dil ka wahi zaKHm-e-kuhan
sad-zaban ho jaega
kaun meri dastan sun le ki main
us ko pane ki tamanna ke tufail
is bhare jangal mein tanha hun
koi bhi raaz-dan mera nahin
dopahar ki dhup mein
us ne kyun yun muzmahil nazron se dekha tha mujhe
us ki aankhon mein sisakti ruh
kyun mere liye chaak-e-jigar ban kar rahi
kash ye chaak-e-jigar chaak-e-gareban ban sake
taki meri sai-e-la-hasil ka zaKHm la-dawa
lazzat aawargi ka tana-e-qatil na bin jae kahin
shahr wale KHush hain
chashm-e-rauzan-e-dil ab kisi KHisht-e-tamanna
tuda-e-ummid sang-e-arzu se band hai
ek main hun mera chaak-e-dil
kisi sozan se silta hi nahin
ye kisi sang-e-tamanna tuda-e-ummid se bharta nahin
aur jis ki justuju mein raat-din
barg-e-awara bana phirta hun main
us ka naqsh-e-pa kahin milta nahin
us ka naqsh-e-pa kahin milta nahin
Nazm
Ham-zad
Ahmed Shamim