hum to majbur the is dil se ki jis mein har dam
gardish-e-KHun se wo kohram bapa rahta hai
jaise rindadan-e-bala-nosh jo mil baiThen baham
mai-kade mein safar-e-jam bapa rahta hai
soz-e-KHatir ko mila jab bhi sahaara koi
dagh-e-hirman koi, dard-e-tamanna koi
marham-e-yas se mail-ba-shifa hone laga
zaKHm-e-ummid koi phir se hara hone laga
hum to majbur the is dil se ki jis ki zid par
hum ne us raat ke mathe pe sahar ki tahrir
jis ke daman mein andhere ke siwa kuchh bhi na tha
hum ne is dasht ko Thahra liya firdaus-e-nazir
jis mein juz sanat-e-KHun-e-sar-e-pa kuchh bhi na tha
dil ko tabir koi aur gawara hi na thi
kulfat-e-zist to manzur thi har taur magar
rahat-e-marg kisi taur gawara hi na thi
Nazm
Hum to majbur the is dil se
Faiz Ahmad Faiz