اردو हिंदी
Hum to majbur-e-wafa hain | Shaahi Shayari
hum to majbur-e-wafa hain

Nazm

Hum to majbur-e-wafa hain

Faiz Ahmad Faiz

;

tujh ko kitnon ka lahu chahiye ai arz-e-watan
jo tere aariz-e-be-rang ko gulnar karen

kitni aahon se kaleja tera ThanDa hoga
kitne aansu tere sahraon ko gulzar karen

tere aiwanon mein purze hue paiman kitne
kitne wade jo na aasuda-e-iqrar hue

kitni aankhon ko nazar kha gai bad-KHwahon ki
KHwab kitne teri shah-rahon mein sangsar hue

bala-kashan-e-mohabbat pe jo hua so hua
jo mujh pe guzri mat us se kaho, hua so hua

mabaada ho koi zalim tera gareban-gir
lahu ke dagh tu daman se dho, hua so hua

hum to majbur-e-wafa hain magar ai jaan-e-jahan
apne ushshaq se aise bhi koi karta hai

teri mahfil ko KHuda rakkhe abad tak qaem
hum to mehman hain ghaDi bhar ke hamara kya hai