hum to bas peshi bhugtane aae hain
hum ne kya lena dena hai
raqs-e-saba se
tum se
us mele se
jis mele mein
dastawez par dast-KHaton ki pahli fasl bichhi thi
aur zamana
do farsang ki na-hamwar masafat par hairan khaDa tha
hum ne kiya lena dena hai
chand se
chand ki buDhiya
aur us ke charKHe se
us aansu se
jo Tapka to hijr hamari umron ke halqe mein
awwal awwal naqsh hua
na hasti par zina zina maili aankhon ki sairabi
na duniya ki bhiD mein sansen leta
wada yaad dilane aae hain
hum to bas peshi bhugtane aae hain
Nazm
Hum to bas
Farrukh Yar