qayamat ban ke TuTi wo kabhi ban kar azab aai
bala-e-na-gahani se nahin kam meri ham-sai
wo qainchi ki tarah apni zaban jis dam chalati hai
wo KHud-sar ek pal mein sara ghar sar par uThati hai
zaban ke sath angusht-e-shahadat bhi nachati hai
mujhe jo baat bhi ho yaad fauran bhul jati hai
ye sach hai us ke aage chal nahin sakti zaban meri
nahin minnat-kash-e-tab-e-shunidan dastan meri
mere ghar ka to chaupaT sara karobar hai us se
mohalla dard-e-sar ka mustaqil bimar hai us se
faqat ek main nahin sari gali be-zar hai us se
jise dekho shikar-e-ranjish-e-azar hai us se
nirali waza hai sare zamane se nirali hai
wo zalim kaun si basti ki ya-rab rahne wali hai
yahan tak silsila pahuncha hai us ki kam-bayani ka
wo nau bachchon ki man hai phir bhi dawa hai jawani ka
wasila hai yahi ehsas us ki shadmani ka
bahut kamzor pahlu hai ye us ki zindagani ka
bua kah kar pukare jo use sau-sau sunati hai
wo is pirana-sali mein bhi baji kahlawati hai
gila KHwesh-o-aqarib ka hai unwan-e-soKHan us ka
KHusur ki sas ki nandon ki ghibat hai chalan us ka
zaban talwar hai us ki dhamaka hai dahan us ka
na kyun ho sab mohalle par musallat makr-o-fan us ka
laDai mein na kaam aati hain taqriren na takraren
ki us ki ek aahaT se laraz jati hain diwaren
mere ghar mein wo jab aai ba-waqt-e-KHurd-o-nosh aai
takalluf hi rawa rakkha na jhijki aur na sharmai
uDa kar le gai jhaT se mere hisse ki baalai
ye us ki be-hijabi ki hai adna kar-farmai
wo din mere liye yaum-e-musibat ban ke aaya hai
meri ammi ne jab us kalamoi ko munh lagaya tha
maza jata raha jine ka ham-sai mili achchhi
agar guzre to guzre kis tarah ab zindagi achchhi
na us ki dushmani achchhi na us ki dosti achchhi
kisi ke waste us ki nahin ham-saegi achchhi
muqaddar ne bhala hum se mazaq aaKHir kiya kya hai
KHuda-ya jis KHata ki ye saza hai wo KHata kya hai
Nazm
Ham-sai
Asad Jafri