shurua shurua mein achambhe achchhe lagte the
shauq bhi tha aur din bhi bhale the
achchhe logon se milne ka shauq junun ki had tak
har lamha betab liye phirta tha
jab koi apna hero
apne aadarsh ka paikar samne aata
ji ye chahta
aankhen bichhaen dil mein biThaen
baaten sunen itni baaten
sail-e-zaman se unchi baaten
dil ke gahre gham ki baaten
duri aur nazdiki
lafz bahut chhoTe hain
un lafzon ko parkho to
insan aur bhi chhoTe nikalte hain
pas bula kar jise dekho
us ka chehra faq be-rang
bhabhut ki surat kala kala
kya suraj bahut niche aa gaya hai
kya maon ne bachche jan kar
dudh pilana chhoD diya hai
goliyan kha ke dudh ke sote
KHushk karne wali maon
plastic ke bags mein raat-raat-bhar
bachchon ka peshab jazb karne wali maon
nind tumhaari bahut miThi hai
Thik hai tum bhi bebas ho
mard gharon se ghaeb hon to
man ki mamta bilak bilak kar
nind ki goli ke aangan mein so hi jaya karti hai
KHwab-awar goli
ye bhi to aaj ki aham zarurat hai
masnui palken aankhon se utar ke
asli chehra mat dekho
goliyan khao so jao aaram karo
subh tumhaare sar ke upar suraj ki
aur bhi garm shuaen raqs karengi
achchhe log subh ko kuchh aur sham ko kuchh
aur raat ko un ke KHun ki tughyani mein
un ke hath aur un ki aankhen
bilkul jangali chuhe jaisi malum hon
pahle-pahal ye achambha tha
KHauf ki tah mein anjaane ko jaanne ki KHwahish
makDi ke jale ki manind phaili
pahle-pahal pistanon mein dard ki Tisen bahut uThin
phir yaad nahin
masnui palken itni lambi hain
main apne pair ke naqsh ke aage dekh nahin sakti hun
kahte hain ki hawa chali hai
khep nae logon ki
jin ko achchha kahne wale sath sath hain
pahunch gae hain shahr kinare
suraj ab to itna niche aa pahuncha hai
us ko uTha ke dur kisi kone mein dafan karo
raat ki chadar oDhne se pahchan ka rishta
shukr KHudaya TuT to jata hai
ai rab tu wali-e-kaun-o-makan
tu sab ke dilon ke haal se waqif hai
to hum ko bata hum kya sochen
hum ne KHwahishon ke sare parinde uDa diye hain
Nazm
Humne KHwahishon ke sare parinde uDa diye hain
Kishwar Naheed