اردو हिंदी
Hum log | Shaahi Shayari
hum log

Nazm

Hum log

Mustafa Zaidi

;

aao us yaad ko sine se laga kar so jaen
aao sochen ki bas ek hum hi nahin tirah-nasib

apne aise kai aashufta-jigar aur bhi hain
ek be-nam thakan ek pur-asrar kasak

dil pe wo bojh ki bhule se bhi puchhe jo koi
aankh se jalti hui ruh ka lawa bah jae

chaarasazi ke har andaz ka gahra nashtar
gham-gusari ki riwayat mein uljhe hue zaKHm

dardmandi ki KHarashen jo miTae na miTen
apne aise kai aashufta-jigar aur bhi hain

lekin ai waqt wo sahib-nazran kaise hain
koi us des ka mil jae to itna puchhen

aaj-kal apne masiha-nafsan kaise hain
aandhiyan to ye suna hai ki udhar bhi aain

konplen kaisi hain shishon ke makan kaise hain