hum sada Dafliyan bajate hain
sari duniya ko warghalate hain
aur sab ko chughad banate hain
ghaib ki baat hum batate hain
munfarid aur be-badal hain hum
han miyan intellectual hain hum
Tang girne se TuT jae to
aankh mirchon se phuT jae to
aql ka sath chhuT jae to
sar pe dasan ka boot jae to
hum atarid wahin aur zohal hain hum
han miyan intellectual hain hum
apni bhonDi KHirad ko bahlaen
KHub sabun se us ko nahlaen
pyar se us ki piTh sahlaen
aur sahil pe us ko Tahlaen
sar-ba-sar aql ka KHalal hain hum
han miyan intellectual hain hum
hum ki bas ek waqt khate hain
shaal kashmir se mangate hain
shawe KHud hath se banate hain
chae main kuchh nahin milate hain
be-muhaba hain bar-mahal hain hum
han miyan intellectual hain hum
dosto munh hamara kala ho
gar kabhi sar mein tel Dala ho
ya kahin chaal ko sambhaala ho
hum ko dekhe jo aankh wala ho
ba-in-andaz ba-amal hain hum
han miyan itellectual hain hum
hum ki sukhe hue shajar ki tarah
ek uljhi hui nazar ki tarah
saKHt sukhi hui maTar ki tarah
kisi mashuq ki kamar ki tarah
jis mein pani nahin wo nal hain hum
han miyan intellectual hain hum
hum hain expert chaalbazi mein
doctor jazba-e-majazi mein
dastaras hum ko dil-nawazi mein
aur ma hain jalsazi mein
maddi ilm ka jabal hain hum
han miyan intellectual hain hum
kaam karte nahin akaDte hain
baat be-baat hum jhagaDte hain
hath munh dho ke pichhe paDte hain
raste hi mein dhar pakaDte hain
do-piyaza hain birbal hain hum
han miyan intellectual hain hum
Nazm
Hum ko dekhe jo aankh wala ho
Mohammad Yusuf Papa