kya faqat dekhte rahne se masail ki girah khulti hai
kya faqat aankh ki putli mein hai mahfuz KHudai sari
hum ki insan nahin aankhen hain
hum ne aankhon ko KHuda samjha KHudai jaana
aaina dekha to in aankhon ne KHud ko bhi nahin pahchana
dekhte dekhte pathra gain donon aankhen
phir bhi chehra na nazar aaya kahin
phir bhi dekhe nahin dast-o-bazu
jaan kar hum ne har ek chiz se inkar kiya
zat se
zat ke gard KHudai ke manazir se
manazir mein chhupi sadiyon ki mazlum tamannaon se
phoD do dekhne wali aankhen
hum tamashai nahin khel ke kirdar bhi hain
apne kirdar ke zindan mein giraftar bhi hain
hum se zindani hazaron lakhon
aao sab ke liye duniya dekhen
aao is koh ko tasKHir karen
jis ke pare
subh ka rang hai
aur rang ki tanwiren hain
aao tanwiron ko aankhon se nahin sare badan se dekhen

Nazm
Hum ki insan nahin aankhen hain
Shahzad Ahmad