hum KHwab-zada
pile mausam ke angaron se jale hue
palkon mein rang-birange KHake bhare hue
sanson ko roke hue
musalsal KHwabida hain
dekh rahe hain KHud ko jangal aur pahaDon ke shanon par uDte hue
aag ugalte jharnon ki banhon mein naghme gate hue
KHush-paikar ru-posh parindon ke ham-rah faza ki wusat ko larzida karte hue
sayyaron aur kahkashaon ki duniya se bhi kuchh aage baDhte hue
nile sagar ke gahre sine mein parbat ki choTi par munge ki gul-rang chaTTanon par
lahron se laDte hue
hum KHwab-zada pile mausam ke angaron se jale hue
jine ki KHwahish mein aise lamhe roz chura lete hain
KHud se KHud ka karb isi tewar se roz chhupa lete hain
aankhen kya khulti hain pagal barah-singhon ke hamlon se
KHud ko ghira hua pate hain
hum himmat ke dhani khaDe to ho jate hain
lekin ek ifrit hamare pairon ko yun kas leta hai
hum behis aur be-dast-o-pa ho jate hain
KHwabon ki wadi mein pahunch kar
KHak samundar aur KHala ke
sab rangon se hath mila ke hans paDte hain
palkon ke sad-rang tilismon ki bahon mein aaKHir kab tak
hum sanso ko bahlaenge
lamhon ke is jabr-e-musalsal se KHud ko kab riha karenge
hum KHwab-zada pile mausam ke angaron se jale hue
Nazm
Hum KHwab-zada
Ambar Bahraichi