ye hum gunahgar aurten hain
jo ahl-e-jubba ki tamkanat se na roab khaen
na jaan bechen
na sar jhukaen
na hath joDen
ye hum gunahgar aurten hain
ki jin ke jismon ki fasl bechen jo log
wo sarfaraaz Thahren
niyabat-e-imtiyaz Thahren
wo dawar-e-ahl-e-saz Thahren
ye hum gunahgar aurten hain
ki sach ka parcham uTha ke niklen
to jhuT se shahrahen aTi mile hain
har ek dahliz pe sazaon ki dastanen rakhi mile hain
jo bol sakti thin wo zabanen kaTi mile hain
ye hum gunahgar aurten hain
ki ab taaqub mein raat bhi aae
to ye aankhen nahin bujhengi
ki ab jo diwar gir chuki hai
use uThane ki zid na karna!
ye hum gunahgar aurten hain
jo ahl-e-jubba ki tamkanat se na roab khaen
na jaan bechen
na sar jhukaen na hath joDen!
Nazm
Hum gunahgar aurten
Kishwar Naheed