hum bahut thoDe log hain
wo bahut zyaada
hum la-parwah hain KHud apni zat se
hamein ek dusre ke mafadat ki kya fikr
wo aapas mein shir-o-shakar hain
aur hamein kamzor rakhne ke liye
saz-baz karte rahte hain
un ki tadad baDhti ja rahi hai
jon jon hamare log
hamein chhoD kar
un ke pas ja rahe hain
hum kisi ko nahin rokte
balki koi ek qadam bhi aage baDhae
to farz kar lete hain
ki wo un ki jaanib baDh raha hai
wo muntazir dekhte rahte hain
kab koi hamare daere se thoDa sa bahar nikle
aur wo use rijha kar apne sath mila len
un ke pas gae logon mein
ho sakta hai ab koi afsos karta ho
aur wapas aana chahe
magar hum us ki parwah bahut kam karte hain
aur ye mumkin bhi nahin hai
kyunki
un ke sath waqt zae karne walon ke pas
hamare liye waqt bach nahin sakta
wo intizar mein hain
bas hum mein se ek aaKHiri bach jae
to wo use patthar mar kar halak kar Dalen
hum ek dusre ko dekh rahe hain
aur Dar rahe hain
kya hum donon mein se koi
dusre ko patthar marega!
Nazm
Hum donon mein se ek
Tanveer Anjum