ek goli
bahut halki hoti hai
gali ke kone par khaDe laDke ki
banduq se nikalne ke baad
dur faleTon mein
khiDki se nikle bazu tak pahunchte waqt
wo apna sara wazn
apni sari taqat kho deti hai
aur bazu mein suraKH karne ke baad
aage nahin baDh pati
wahin rah jati hai goli ke bazu mein rah jaane se
aadmi ko bahut taklif hoti hai
agar is goli ke sath
do tin goliyan aur bhi hotin
to shayad aadmi ko aur ziyaada taklif ho rahi hoti
wo ye baat nahin sochta
aur karahne lagta hai
ziyaada goliyon se us ki maut bhi waqe ho sakti thi
wo ye baat bhi nahin sochta
aur rone lagta hai
goliyon se bhi kam wazn rakhne wale aansu
bistar ki chadar aur paron se bhare takiye mein
jazb ho jate hain
bazu mein aTki hui goli ke KHayal se
wo ye bhi nahin sochta
ki agar us ke baad halke aansu takiye ya chadar par girne ke bajae
bhaari banduq par girte rahte
to ek na ek din
use zang lag jata
ya phir us ki taraf goli bhejne wale
laDke ka saKHt dil
us ke aansu dekh kar
mom ho jata
bhaari chizon ki jagah
halki chizen le letin
halki chizon ki jagah
kuchh aur na aa pata
Nazm
Halki aur bhaari chizen
Zeeshan Sahil