mujhe achchha nahin lagta
khaDa KHamosh sa dariya
koi halchal ho
tufan ho
koi to baadban TuTe
koi to naKHuda aisa ho jo baad-e-muKHalif ko
palaT de zor-e-bazu se
na kashti Dagmagae us ki lahron ke talatum par
na kashti Dolti jae hawa ke ruKH pe sahil par
bahut girdab bhi honge
bahut bhaunchaal aaenge
ho aisa na-KHuda ki jo bhanwar mein Dub na jae
KHud apni zat ke iqan par bahar nikal aae
yaqin ho aap par to sahilon ko chhoD dete hain
bharosa ho basirat par to dariya moD dete hain
yun apne aap mein tufan ki halchal macha rakkho
ki tughyani nahin aati to dariya sukh jate hain
Nazm
Halchal
Neel Ahmed