ab koi phul mere dard ke dariya mein nahin
ab koi zaKHm mere zehn ke sahra mein nahin
na kisi jannat-e-arzi ka hawala mujh se
na jahannam ka dahakta hua shoala koi
mere ehsas ke parde pe rawan rahta hai
main kahan hun? mujhe malum nahin!!
bolte lafz bhi KHamosh tamannai hain
jagte KHwab ki tabir yahi hai shayad
meri taqdir yahi hai shayad
main jise dekhna chahun mujhe andha kah de!
kaun hun main mujhe ai dida-e-bina kah de!
zindagi kyun kisi mafhum se aari hi rahi
dhup mein jism sulagte hi chale jate hain
maut ka KHauf simaTta hai bikhar jata hai
faKHta jaise kisi peD ki shaKHon mein chhupi baiThi ho
sans sine mein kisi tir ki manind utar jati hai
munh chhupae hue suraj bhi fana ki taswir
pyas ban kar kisi dariya mein utar jata hai
aas ne yas ke mahtab se KHushbu mangi
chehra-e-gul pe kisi qatra-e-shabnam ki dua utri hai
Nazm
Hairat-KHana-e-imroz
Ahmad Zafar