mere hath khol diye jaen
to main
is duniya ki diwaron ko
apne KHwabon ki lakiron se
siyah kar dun
aur qahr ki barish barsaun
aur is duniya ko apni hatheli par rakh kar
masal dun
mera daman KHwabon ke andhere mein
phaila hua hai
mere KHwab phansi par chaDha diye gae
mera bachcha mere peT se chhin liya gaya
mera ghar qahr-KHanon ke astabal ke liye
khol diya gaya
mujhe be-zin ghoDe par
andhere maidanon mein utar diya gaya hai
meri zanjir ka sira kis ke pas hai?
qayamat ke shor se pahle
main apni dhajjiyon ko sameT lun
apne bachchon ko aaKHiri bar ghiza faraham kar dun
aur zahr ka piyala pi lun
meri zanjir khol di jae
us ka sira kis ke hath mein hai?
Nazm
Hath khol diye jaen
Azra Abbas