tanhai ki KHamoshi mein
ji bekar ulajhta hai
zar o pareshan rahta hun
lekin logon ke jamghaT mein
ek mohmal se shor-o-ghul mein
shaKHsiyyat samjhaute ke tezab mein hal ho jati hai
dil hota hai aur pasheman
tanhai ki KHamoshi mein
bhut shikast-o-nakaami ke
ek ek kar ke mujh se jab bhi mahw-e-takallum hote hain
mujh ko apna uncha sa qad chhoTa chhoTa lagta hai
main ek zarra ek sitara ban jata hun
lekin main wo tara kab hun
kab in taron mein shamil hun
le ke ujala jo mange ka
apni aab baDhane ki nahaq si koshish karte hain
tanhai ki KHamoshi!
ye ghunT hai ek zahr-e-qatil ka
ghunT hai ek amrit ka bhi ye
ghunT main donon pi leta hun
raat gae ujle bistar par
so jata hun
pahli kiran ke sath
sunahri pagDanDi ka ho jata hun
Nazm
Hasil ka safar
Raj Narayan Raaz