tum ne dekhe hain kabhi haar-singar
wo dil-awez se masum se do-range phul
raat ko shaKH pe khilte the sitaron ki tarah
wo bhala din ki tamazat ke sitam kyun sahte
is liye aaKHir-e-shab apne hi husn se be-KHud ho kar
os se bhige hue farsh pe kis pyar se bichh jate the
jaise kal raat yahan
zafaran rang ki chadar pe bikhere hon kisi ne moti
aur har roz sawere koi bachchi aa kar
farsh-e-gul par bahut aahista se chalti thi
KHayalon mein pahunch jati thi
is paristan mein ki jis ki pariyan
raat ko farsh pe ye phul bichha jati thin
yaad galiyon se guzarti hun to bachpan ke kisi moD pe mil jate hai
wahi masum, dil-awez, subuk haar-singar
jaanti hun main wahan
ab mere sahn ki diwar ke us par nahin koi daraKHt
ab wahan ek imarat hai bahut unchi si
Nazm
Haar-singar
Azra Naqvi